Friday, March 31, 2017

Hi sahir

Aaj kai din bad
Lauti hun
Tumhare apartment mein
Kitne sare doodh ke packet
Latke hue hain darwaze par
Aur jaise raddi ka to
Dher hi lag gya ho
Koi bhi kaam poora
Kahan karte ho tum sahir
Itni bhi kya dependency
Ki doosre ka dum hi ghut jaye
Pehchaan mein nahin aa rha kuchh
Har kahin dhool ki partein jami hain
Haan bas khushboo wahi hai
Dhool mein meethi meethi dhuyein
Ki khushboo
Tumhari Marlboro
Laga ki jaise fir aa gye tum
Bas ab dobara nahin sahir
Is janam ka ho gya
Log kya word use kehte hain wo
“affair”
Amrita’s affair with a distraught poet”
Khamakha ishq samajhti rhi main
Saari umar
Waise sahi hi hai
Affair mein jo maza hai
Wo ishq mein kahan
Ishq hota to main bhi marti
Tumhare sath
Lekin dekho main to changi bhali hun
ishq to mui ye cigartette karti thi tumse
jab the to Tumhari ungliyon mein
dabi rahi
aur jab gye tab bhi saali Tumhare sath

chaye ka aadha glass
aur wo Tumhari Adhoori nazm
kab poora karoge sahir
date nazdeek aa rhi hai
suna hai Tumhare bhai ise dhoondh
rhe hain bechne ke liye
sochti hun sab jhonkh dun aag mein
aur dafn kar lun apne sath
sab kuchh kyun nhin khatm hota sahir
chipka rehta hai saaye ki tarah
thoda thoda
aaj bhi uthti hun
kaam pe jati hun
peeti hun
samundra ki lehrein
ye lambe din
waisa hi to hai sab kuchh
zyada kuchh badalta nahin sahir
bas adhoora sa reh jata hai sab
duniya jahan ke jatan karlo
kabhi mukammal nahin ho pata fir
bistar ki silwaton mein mere baal
uljhe pade hain
lagta hai jaise abhi bhi Tumhare sath
soi hun
Mujhe bhi sath le jate sahir
Log sahi kehte the tumhe
“fraud”
Maut bhi kya cheez hai
Jab tumhe le jar he the to laga
Tum wo ho hi nahin
Tum to Shayad pehle hi chale gye the
Kuchh der aur wait kar lete
Main raste mein hi to thi
Sochti hun
Aaj yahin ruk jaoon
Neend nahin aati akele apne
Apartment mein
Ash tray se tumhari cigarette ke butts
Foonkte hue
Lag raha hai jaise ki
Is dhuyein ke sath
Tumhari rooh se mil rhi hun

Main aa rhi hun sahir
Bas kuchh der aur