Saturday, September 13, 2008

for all those who are fighting with themselves...



itna to jaanta hun main...

Apni rah chalte chalte
Ladkhadate dagmagate hue
Suraj ke samne andhere se
ladta hua main,
Akela nahin
Yeh jaanta hun
Shayad,
Shayad koi aur bhi hai
Darmiyan harpal,
Parivartan ki koshish mein
Apne aap se ladte hue,
Saath hain
yeh ehsaas to hai mujhko
Par chhukar dekhna chahta hun
Tumko,
Cheekhon ke is kautuhal mein
Har waqt apni har pe rote hue
akela nahin main
Yeh jaanta hun
Shayad
Par phir bhi tumhari awaz
Sunkar mehsoos karna
chahta hun
tumko,
Is ladai mein
har koi hai akela
yeh jaanta hun kabse
par phir bhi in aankhon se
ek bar
apni jaisi ladai ladte hue
dekhna chahta hun
tumko,
milna aasan nahin hai
itna
itna to jaanta hun main,
shayad kuchh zyada bhi
mang raha hun
tumse,
saath ho mere tum hamesha
mana yeh jaanta hun main
par phir bhi kabhi chalte hue
bheed mein milo to
hans dena
bas ek bar
taki apne akele pad jane ka
bhram toot jaye…